Monday, 23 March 2015

Jhoot

Thehri si ,sehmi si,
mujhe kyon tu kuch khamosh si lagi,
aankhon se bolti hai tu,
hai jo raaj chupe dil me saare.
Keh bhi de ab sab naa,
ke dil toot jayega agar;
ye jaahir hua mujhe kisi aur se,
haan yeh dil toot jayega.
fir agar reh gayi toh,
dil mein khalish mujhse mat kehna,
ke main ab aur na rukunga,
ke bol de abhi jo kehna hai.
woh jo baatein thi teri,
saari jhooti kyon thi,
aise ki ab main ,
aitbaar par aitbaar na kar sakoon?

Pyaar aapka

Saare najaaro se roshan ho ye jahan,
jahan milti ho har lamha ek nayi khushi,
saanso se kehti ho jindagi jahan har pal ek dua,
kuch aisa ho har din aapka.
Milti ho jahan hasi har pal,
or guhlti rehti hai wo dhadkano mein sada,
ankho se gire jo ashq hai ho wo khushi k,
kuch aisa ho har lamha aapka.
Behta ho jahan sangeet surila,
har saaj mein milti ho ek nayi subah,
jindagi saji ho aise suro se,
kuch aisa ho har saath aapka.
Jahan hai pyar dil k kone kone mein,
jahan shabdo k mayane bhi bemaani hai,
jahan khamoshi kare baya baatein dilo ki,
kuch aisa ho pyaar aapka.

Kasoor

Kasoor teri aankho ka nahin,
kasoor mere hone ka hai.
kasoor teri nafrat ka nahin,
kasoor mere dil lagaane ka hai.
kasoor tera nahin jo muje tanha chhod diya,
kasoor mera tuje chahne ka hai!

Jiwan

baarish mein bheegna Kisi ki tamanna hai,
toh Kisi aur ki woh majboori hai...
kuch rupaye Dena Kisi ka daan hai,
toh wohi rupaye Kisi ki bheek...
jiwan ek hi rahasya pe chalta hai,
Jo nibha paye sath apna..
jiwan usi ka naam japta hai

Mausam

pal pal mausam badalta hai,
patjhad ke baad vasant hi hawa lata hai,
lekar khushiyon ki jyoti nayi...
aankho mein aas bhar jata hai,
mausam mano kuch kehna chahta hai,
jiwan ka koi sabak sikhata hai,
maana ki hain aansu jiwan k kitne raho pe....
par andhere ke baad ujala lata hai..

Teri tasveer

Bharne ko to her zakhm woh bhar jaega,
Naa bhar payegi jagah jahan kami teri hogi,
Aksar jab yaad teri aya karegi,
naa paas mein koi tasvir teri hogi,
Humesha se basaya hai aankhon mein tujhe,
Socha...phir tasveer ki zaroorat kya hogi

Mumkin hai

Baaton hi baaton m mukar jaana....mumkin hai,
Kisi gaer ko khaas bnana......mumkin hai,
Anjaani raaho per bhi sapne sajana...mumkin hai,
Aur...
chand yaado k sahaare poora jiwan bitadena...bhi mumkin hai

Geela Kagaz

Geele kaagaz ki apni kashhti hai
naa doobti h naa sambhalti hai
Bs majdhaar m atki manzil se durr baithi hai
naa ye hawaa bhi saath deti hai
Naa lehro k sath kaarwa aage bdhaati hai
or naa hi chain se doobne deti hai.

Na Koi

Na koi itna ameer hai,
jo beeta kal apna khareed sake.
Na koi itna gareeb hai,
jo aane wala kal na sawaar sake.
Na kisi m itni burai hai,
jisko achhai jeet na sake.
Na koi itna majboor hai,
jo sach ka rasta dhund na sake.

Recife in Brazil

The city may be largely unheard of, but Recife in Brazil had 1,656 homicides in a city of 3,717,640 inhabitants. The city is the fifth-largest metropolitan area in Brazil and it is commonly referred to as the "Brazilian Venice", due to its many bridges and canals. So for a city that seems to have so much in its favor, why all of the violence?

Grand Teton National Park

Rising above a scene rich with extraordinary wildlife, pristine lakes, and alpine terrain, the Teton Range stands monument to the people who fought to protect it. These are mountains of the imagination. Mountains that led to the creation of Grand Teton National Park where you can explore over two hundred miles of trails, float the Snake River or enjoy the serenity of this remarkable place.